Saturday, August 26, 2017

Ghazal

Shab-e-hijr! meray ishq ko, rukhna yunhi ba.purda
Na ho khabr sitaron ko, rahon bhalay main azurda

Dil ager bhula bhi dae, laghzishain nigahon ki,
Rakhna tum mager phir bhi, hisab-e-jurm-e-nakarda

Hota khuda, tou rakhta main, teray gunahon ki khabar
Hoon baikhabr, chalo acha hai, rahay baqi zara purda

Barha jo ishq, bana junoon, mila na phir kahin sakoon,
Woh majnu ishq ki wadi main, sadyon se hai sargarda

Liye sawal ankhon main, aur haton main shakista dil
Merta hai wo hur shab, kaho nahi ussay murda.


____Hajr 

Wednesday, August 23, 2017

Raaz

Aas kya hai, pyas kia hai?
Tu mojud hur jaa, phir raaz kya hai?

Teray ishq main, jal martay hain aashiq
Teray ishq ki meraj kya hai?

Aas kya hai, pyas kia hai? 
Tu mojud hur jaa, phir raaz kya hai?

al-e-nabi huwe qurbaan tujhpe,
Aae ‘lum yalid’, teri miraas kya hai?

Har faani hai phenay khaki perahun
Johar say bana her sheesha-o-sung
Ae noor-e-samaa, tera libaas kya hai?

Aas kya hai, pyas kia hai? 
Tu mojud hur jaa, phir raaz kya hai?

______Hajr 

Monday, August 21, 2017

Life

When you were lost,       
in the maze of dogmas & empty thoughts
And when you were stalked
by the fancy dreams, you never bought
When your smile was broken,
no kind words were spoken.
And when your days were dark,
who ignited the spark
that awakened your soul
dream of dying young
now seems sick and old.
You have come to realise
you were dead than alive,
you used to worship death
now you celebrate life.

____________ Nocturnal