Ghazal
Shab-e-hijr! meray ishq ko, rukhna yunhi ba.purda
Na ho khabr
sitaron ko, rahon bhalay main azurda
Dil ager
bhula bhi dae, laghzishain nigahon ki,
Rakhna tum mager phir bhi, hisab-e-jurm-e-nakarda
Hota khuda, tou rakhta main, teray gunahon ki khabar
Hoon baikhabr,
chalo acha hai, rahay baqi zara purda
Barha jo
ishq, bana junoon, mila na phir kahin sakoon,
Woh majnu
ishq ki wadi main, sadyon se hai sargarda
Liye sawal
ankhon main, aur haton main shakista dil
Merta hai wo hur shab, kaho nahi ussay murda.
____Hajr
2 Comments:
Tu khuda hai na maira ishq farishton jaisa
Donon insan hain too kyun hijabon main milain
Love this sher by Fraz, thanks for sharing.
Just another sher by Fraz came to by mind,
Ab teraa ziker bhi shayad hi Gazal may aaye
Aur se aur huaa dard kaa unvaa jaana
Post a Comment
<< Home