Wednesday, September 13, 2017

13

Khwaab hum saaray udhaar laitay hain
fursat main tujhay bhi pukaar laitay hain

aisee mohabbat ke nahi hum qaa’el
bewafaaon ko hum dil se utaar daitay hain

jo turbat pe meri, parhay fatheha
bad’duain usaay baishumaar daitay hain

aata nahi hamain aansu bahana,
ashk derya se hum mustaar laitay hain

jin ke seenon main dil he nahi
log unhi pe dil apnay haar daitay hain.


___ Hajr 

0 Comments:

Post a Comment

<< Home