Wednesday, February 01, 2006

MAIN SAHIB-E-IMAN NAHEE

In response to the Faiz's nazmYaad ki raahguzaar that she sent me in order to express her feelings , I wrote that nazm(POEM) as an answer or to be exact as a reaction. Infact Faiz's nazm provoked me to write something.

Faiz's poem ends with the following lines and these lines literally pierced me like a poisonous thorns.

Tum se chalti rahay yeh raah – yunhi achha hai
Tum ne murr kar bhi na dekaha – to koi baat nahi

Then what I wrote is mentioned below,

MAIN EK MUDAT SAY HALAT-E-HAZAR MAI HOON *(halat-e-hazar- -state of being stagnant)
MUJHAY RAH-O- SAFAR SAY KOI KAAM NAHEE
MAIN EK MUDAT SAY APNI HEE KHOJ MAIN HOON
MUJHAY MANZIL KAY NISHAAN SAY KOI KAAM NAHEE
MUJHAY RAKHT-O-RAHZAN SAY KOI KAAM NAHEE

ZANGEER-E-ZAKHM QADMON MAIN HAREE HAI AB TAK
PHIR SAYYAD KAY CHUNGAL MAIN KYUN GAWAIN KHUD KO *(sayyad--hunter)
NIGHA MEREE, KISEE CHARAY PAY KYUN DAY DASTAK *(dastak--knock)
KYUN KISEE RAAZ KA HAMRAAZ JATAIN KHUD KO
MISL-E-DAMAN KYUN HAR BAR PHAILAIN KHUD KO

MAIN EK BAAGHI, ATA'AT MERA IMAN NAHEE *(ATA'AT-obedience)
RAH-O-RASM SAY, ULFAT SAY MUJHAY KAAM NAHE
MAIN ISHQ KAY LASHKAR KA AALAMDAAR NAHEE
MERAY HATHOON MAIN BEWAFAEE KEE TALWAAR NAHEE

MAIN RAFAQAT KO IBADAT KAA DARJAA DAYDOON
MAGAR AFSOOS KAY MAIN SAHIB-E-IMAN NAHEE.


----by HAJR *(stone) this is my urdu pseudonym