Monday, January 23, 2006

HAAN MUJHKO AADAT HAI....

I have just penned a song in Urdu, though it is very difficult to write Urdu in roman script, but somehow I managed to write it down. I hope that readers won't find any difficulty in reading that script, though I know it is really hard to understand Urdu word in roman script.

HAAN MUJHKO AADAT HAI
PANYOON PAY CHALNAY KEE
SUNG UMADTEE LAHROON KAY *(sung--along/together)
BHARNAY AUR BHIKARNAY KEE

PURAY CHAND KEE RAATOON MAIN *(puray chand--complete moon)
SUNG SHAMA KAY DHALNAY KEE

HAAN MUJHKO AADAT HAI
HAAN MUJHKO AADAT HAI

HAR SHAB KUFR KAY SHOLOON MAIN *(sholoon--flames)
SUNG BUTON KAY JALNAY KEE. *(buton--idols)

TAREEQ UFAQ KAY DAMMN MAIN *(tareeq--dark/gloomy) *(ufaq--horizon)
MISL-e-ASHK CHAMAKNAY KEE. *(misl-e-ashk--like the tear)

HAAN MUJHKO AADAT HAI
HAAN MUJHKO AADAT HAI

ZARD MURJHATAY PATTON KAY *(putton--leaves)
SUNG GULLON KO TAKNAY KEE. *(gullon--roses)


HAAN TUJHE BHEE AADAT HAI
SARD KHUNJAR KAY HONTOON PAR *(sard--cold) (khunjar--knife)
ZAKHMI UNGUSHT RAKNAY KEE *(ungusht----finger)

PHUN PHAILAYE ANDHAIROON KAY
ZHAREELAY MANZAR CHAKNAY KEE *(zhareelay--poisonous)

ASAIB ZADA TASWEERON KO *(asaib--haunting/ghostly)
SANG RANGOON KAY RANGNAY KEE. *(rangoon--colours)

YEH JO TEREE HALAT HAI
WOHEE MAREE HALAT HAI
WOHEE CHAMAN KEE HALAT HAI *(chaman--garden)
WOHEE AMAN KEE HALAT HAI *(aman--peace)

HAAN HUMKO AADAT HAI
BAY NAAM BHIKARTEE LEHRON PAR
RAAKH DUKHOON KAY RAKHNAY KEE
*(rakh--ashes) *(dukhoon--sorrows)

HAAN MUJHKO AADAT HAI
HAAN TUJHKO AADAT
HAA HUMKO AADAT HAI………………..

0 Comments:

Post a Comment

<< Home